Hello dosto, dilafroz.com par phir se apka dil se sawagat hai. Aaj ke date me aap dekh pa rahe honge ki facebook ki tarah insta aur Twitter bhi famous social media site hai. Isme sab politician se lekar actress sare mil jaynge but ap facebook pe search kroge mil to jaynge but wo sayad hi use karte honge lekin baat ki jaye twitter ki to isme apko sab daily update rahte hai wo job hi post karte hai usme se ap bahut sare bande ko dekh pa rahe honge ki wo daily post karte hai jaise actress, politician etc. to bina dere kiye hum jante hai ki Instagram account verify kaise kare iske kuch rules uske baad apne account verify hone ke chance jayada hota hai. agar aap bhi chahte hai aapke intagram Par Blue Tick kaise lagaye iski Puri jnkari to is lekh ke akhir tak bane rahe. Bahut se log ye sochte hai instagram sirf famous logo ke liye banaya gya isse related sari pareshani is lekh me clear ho jayegi.
Internet pe aapko bahut sare option milte hai jisse apke account verified badge lagane ka option batate hai. lekin bahut baar aisa hota hai di gayi jankari fack hoti hai ya phir view ke liye wo knowledge dete hai. Twitter ko October mein 2010 ko banaya gaya tha aur is app ka users day by day badhte ja rahe hai. Iske lunch hone ke baad kuch time baad ise sell kar diya gya aur kharidne wale facebook ke malik mark zuckerberg hai aur ise 1 Billion Us Dollor mein Kharida gaya. Aur ab instagram facebook ka hisa ban gya hai.
Jaha tak mujhe lagta hai abi chote bache bhi smartphone ka use karte hai. to aap andaza laga sakte ho abi technology kitni jayda teji se aage badh rahi hai. Instagram ko 1 Billion se jyada log ise download kar chuke hai aur ye achhi app hai jise sare log bahut pasand karte hai. is baat ka anadaza aap play store ke review se samajh sakte hai jiski 4.5 rating hai.
Agar aap Instagram ka use daily karte hai to to apke pas aise log honge jinke account verified hoga ya phir aise bhi log dekhne ko milta hai jinhe aap follow nahi kiye aur kisi post ke throw aapko aise account dekh lete ho jo ki verified hota hai. to aapke andar bhi aise sawal jarur hoga ki Instagram Account Verify In Hindi. Ya aap kah sakte hai Instagram account ko verify kaise kare to is article ka maksad yahi tha ke isse related aapko puri jankari de sake. Aap bhi apna Instagram account verify kar sakte ho. Agar apka account verified ho jaye to kaisa feel ho rha hai abhi se.
Table Of Contents
- 1 Instagram Account Verify Kaise Kare Aur Blue Tick kaise lagaye
Instagram Account Verify Kaise Kare Aur Blue Tick kaise lagaye
Aapne kisi na kisi account pe blue tick dekha hoga. pahle ye sirf celebrity ko hi milta tha lekin ab baat palat gayi hai ab celebrity ke sath sath normal insane ko bhi instagram verify account mil jata hai.
Abi ke samay me sab ye chahte hai ki mere bhi follower ho aur mera bhi account verify ho jaye aap abhi apna Instagram Official Account Kaise Banaye ya ye bol sakte hai Instagram pe blue tick kaise lagaye to sabse pahle aap apna instagram update kar liey agar pahle se update kar liye to na kare.
Verify account karne ke liye aapko ek form bharna padega is from me aapko apna voter id card ya adhar card dalna hoga. isse instagram ko apki pahchan mil sake aur isse ye sabit ho jaye ki ye account aapka hi hai apke diye gaye document ko wo pahle jach karne ke baad agar apke voter id card or aadhar jo bhi aap diye hai wo document ko jach karne ke bad aapke account verify kiya jata hai. isme thoda time lagta hai agar isse related kuch dikat hoti hai to apko inform kar diya jayega.
Instagram ne khud ye baat kah diya hai aap apna account verify ke liye form bhar kar hume bhej sakte hai phir hum aapke form ke detail ki jach karenge agar aapka account eligible jach me sahi nikla to apke account ko verify karenge. Mai aapko sari baate step me bataunga aap ise follow karke aap bhi apne account ki verify karne ke liye bhej sakte hai aur apka account jach hone ke baad sahi sabit hoga to apka Instagram account verified ho jayega.
Aap Ko bta du to instagram account verify karne ke bahut sare term and condition hai jise hum kuch limit hai bol sakte hai. jaise me apke kitne followers hone chahiye uske bad hi aap apne account ko verify karane ke liye dal sakte hai agar aap bina ye sab dekhe aise hi form dal dete ho to apka account verify nahi kiya jayega.
Aur Instagram account verify ye decide karta hai instagram ki team ki kise verify karna hai kise nahi.
Instagram Account Verify Kaise Kare (2021)
Agar aap bhi apna instagram account verify karana chahte ho to aapko mobile aaplication ka jarurat padega jiske dwara aap aap form fill sako. Kyu ki account verify karne ka application hai wo sirf mobile me hi isiliye apke pas mobile bhi hona jaruri hai. sabse pahle apne mobile me application download karne install karna hai.aur iske bad niche diye gye step ko follow karke aap bhi form apply kar sakte ho.
Instagram Account Kaise Verify Kare step by step puri jankari
Instagram account verify karne se pahle aapko niche diye gaye kuch step ko follow karna hai ise dhyan se padhe.
1. sabse pahle aapko Android ya iPhone mein Instagram aap ko open kare
2. ab aapko apna account log in karna hai
3. uske baad aap apne profie pe jana hai profile pe jane ke baad sabse upar 3 three dot dikhega uske click karna hai
4. ab aapko setting ke icon pe click karna hai jaise maine screenshot me dikhaya hai
5. setting me jane ke baad aapko account> Request verification pe click karna hai
6. Uske bad aap instagram official verification page pe pahuch jaoge aur yha par apse jo detail puchi jayegi wo bhare.
Jaise me full name: apna pura name dal sakte hai
Known as: aap kis chij ke liye jane jate hai wo dalna hai
Category me category choose karna hai
Phir aapko document dalna hai aadhaar card ya pehchan patra
7. uske baad aap apne document ka photo upload kare
8. form pura fill hone ke baad aap send par click kare iske bad apka request successfully submit ho jayega. Ab aap apna account ko verification hone ka wait karna hai isme thoda time lag sakta hai. isliye aap intezar kar sakte hai.
Bina baat dhumaye mai batau to agar aapka account verification ke liye dal diye hai to ye confirm nahi hai ki apka account verify hi ho jaye. Agar aap document eligible hua to apka account verify kar diya jayega instagram ke taraf se. agar isse related kuch dikat hua to request cancel ho jayega.
Agar aap instagram account verify hua to aapko email ke dwara ya cancle hua to aap information de diya jayega. To aap bhi isi tarah apna account verify kara sakte hai. Ab aap ye samjh gye honge ki Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye.
Instagram Account Verify karne se pahle jaan ye jaruri baate
Yha tak ye baat to clear ho gyi hai ki kaise Instagram Account Verify karte hai.agar aap apna instagram account verify karna hai to apko kuch bato ka dhyan rakhna bahut jaruri hai. Agar aap ise samjh kar kam kar diye to aapka account verify ho jayega.
Unique account:
Instagram account ko verify karne ke liye sabse baat aati hai apka account unique hona chaiye. Matlab uske andar kiye gaye post apke hi ho iske sath aapke follower real hone chahiye. Mane dekh bahut baar autoliker website se follower badha kar log apne instgarm pe flower bhada leta hai. agar aap ye tips ke throw aapka follow hai to phir aap ye bhul jaiye ki aapka account verify hoga.
Aur aapke account ko dekh kar ye samjh aa jana chiye ki apke account kis topic pe hai.
Complete Profile:
Agar aap chahte ki aapka account pe blue tick mil jaye to sabse pahle role aata hai apke profile puri tarh bhari ho apne profile ko DP, Bio, Description sari chije acche se fill kar sakte hai. agar aapka profile complete nahi to apke account verify nahi mil sakta hai.
Public Account:
Aap is baat ka dhyan rakhe apka account private na ho kyu ki apka public account bhi hona bahut jaruri hai. agar aap private hai to sabse pahle public account kare.
Instagram account verify karne se pahle aap instagram verification requirements ke baare me bataye gaye sari chije pe dhyan uske baad aap apne account ko verify ke dal sakte hai.
1K Followers:
Apne ye samjh liya hai ki kaise aap bhi Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye jate hai. iske madad se aap apne instagram ko official account me badal sakte hai lekin instagram requirements ke baare me jankari bhi rakhna chahiye.
Instagram ke account to verified karne ke liye followers ki koi limit nahi lagayi hai lekin aap apne account ko verification dalne se pahle aap followers kam se kam 1000 se lekar 1500 ke bich me hona bahut jaruri hai.
Apke baare me jankari kisi website par:
Instagram pe verification policy ke anushar ye likha gya hai ki agar aapke baare me kisi website pe diya gya hai matlba 5 se 6 website par to apko verify milne me easy hota hai. kahne ka matlab simple sa hai aap kya karte ho apke baare me sab log kaise bol rahe is tarah ka article apke baare mein hona bhi jaruri hai.
Kya fayda hai Instagram Verified Badge ka
Instagram ka Verified Blue Badge apke profile ke last me dikhta hai. Isme verified badge ka high symbol mana jata hai. ise chod kar apke aur bhi bahut sari fayde hai jisme se is parkar hai. kahne ka matlab simple hai agar aapka account verify ho jaye to aap ka account normal se official ban jayega jispe aap koi bhi trust kar sakta hai.
1. Logo ka bharosa badh jata hai
Jo bhi log instagram pe agar verified account dekhte hai to us account ke baare me log bolte hai real hai aur kafi bhrosemand account hai. duniya me lakho users hai lekin jispe blue tick lag gaya jiska matlab hota hai ise kisi real individual ke madad se chalya ja raha hai jisme business ke liye operate karte hai.
2. Brands se Partnership
Instagram influencers mein bahut sare brands ke sath business karte hai. lekin agar koi achha brand hai to wahi account pe advertise karna chahegi jiska account verified ho.
Agar videos se samjhna chahte to yha se dekh sakte ho
3. Instagram pe apki higher ranking
Jab bhi koi users us brand se related search karta hai to aap ke post bhi us search me show hota hai account verified wale sabse uper show hota hai. aur unverified account niche show hota hai.
- Agar aapka account verify hai to apki popularity badhti hai
- Iske wajah se apke users pe trust badhta hai
- Aur iske verified account hone ke bad apke followers apne aap badhne lagte hai.
- Iske madad se aap alag alag jagah se paise earn kar sakte ho
- Aap sponsored post karke asani se paise kama sakte ho
Isi Tarah aapko bahut sare fayde hai bahut sare log ye sochte hai ki Mera bhi account verified ho jaye. Lekin jinke pas puri jankari nahi hoti isliye wo apna account verified nahi kara pate.
Conclusion: To aaj apne kya sikha
twitter account verify kaise kare I hope aapko ye samajh aa gya hoga ki kaise aap apne account verified kara sakte hai. mujhe umeed hai aapko ye post pasand aaya hoga aap bataye gaye jankari ko follow karke aap bhi apna account verify kara sakte hai. maine aaj aapko Instagram Account Ko Verify Kaise Kare puri jankari di iske baare me achhe se samjhaya.
Is blog ka yahi maksad raha hai jo bhi hamare readers hai unhe hum sahi knowledge de jise follow karke wo bhi aage badh sake. aur aapko kisi aur jagaha jane ke bhi jarurat nahi aap is blog se aapko sari mil sake yahi kosis hai hamari. Agar aapko ye article Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye aap ko acha laga hoga to aap apne dosto ke sath apne social media pe jarur share kare jisse sabko iske baare me pata chal sake aur is jankari ka jayada se jayda fayda utha sake. agar aap bhi apna account verify karana chahte ho to aap bhi verify ke liye dal sakte ho aise hi jankari pane ke liye aap is blog pe save kare aur ye lekh Instagram account kaise banaye puri jankari aap ko samajh aa gaya hoga apko ye lekh kaisa laga aap comment karke hume jarur bataye is lekh me kuch sudhar hona chaiye to aap iske liye bhi aap comment kare jisse mujhe apne galti ka pata lagega aur apki jankari mujhe bhi mil payegi aur koi sawal hai to bhi puch sakte hai hum jarur reply karenge, Agar aapko Instagram account verify nahi kar pa rahe hai to aap humse puch sakte hai.
Phir milte hai agla article ke sath tab tak ke liye chota break tab tak dhoom machete raho aur apna knowledge badhate raho.