What Is Off Page SEO क्या है और कैसे करे पूरी जानकारी हिंदी में

Aapne suna hi hoga hi off page seo kya hai ? agar nahi suna to to koi bat nahi aaj hum ispe hi baat karenge. Iska use agar hum internet or browser pe kuch search karte hai to waha search engne result page show hote hai aur ise kaise bhul sakte hai. aur isme aap agar search engine me top pe apna website lana chahte hai to SEO ka help bahut jaruri hai. seo ka use hum tab se karte hai jab se online internet ki help se public ke use ke laya gaya us time se SEO ka use karte hai jiske dawara aapke website ki traffic milti hai.

But aaj ke time google ka bahut sare algoritham hai jise wo change karta rahta hai jise wo hi jante hai.  agar aap soch rahe ho apne backlink bna lia aur aapki website ka traffic ni mil raha hai to sabse pahle aap ye jan le ki apke pas content hai aur use aap rank me lana chahte ho to aapko technical practice ka use karna hoga jiski help se aap apna article ko Google me rank kara sakte ho.

SEO ke do techniques hai jo On page SEO and off page SEO in dono ki help se ap apne website ki traffic bada sakte ho.  aap apne website ki traffic ke liye aap is dono techniques ka use karna hoga aur aap apne website ko Google me rank kara sakte ho.

Ab dimag me aa raha hoga ki ye dono techniques hai kya aur iska use kaise kare to is article me aaj me hum janegi ki Off Page SEO kaise kare aur ye kya hai to chlo start karte hai.

What is off page SEO Kya hai  

What-Is-Off-Page-SEO-Kya-Hai-Kaise-Kare-Puri-jankari

Off Page SEO is techniques me hum apne website ka domain authority badhane ke liye karte hai. isme aap samjh lo ki agar aapki koi website hai aur another website se links ke liye depend hote hai.

Off page SEO bola jaye to ye SEO ka sabse bada factor hai jaise on page waise hi apke website ke traffic ke liye sirf on page seo hi nahi off page ki bahut jayada jarurat hai. aur isme apke backlink ki quality jo aapke website ke traffic ko badhata hai aur Google me search hone lagta hai.

To chalo start kart hai kuch example ke sath jisse apka website ka bahut achha baklink banaya ja sakte.

  1. Aaj ke time Google ko chaiye new content (fresh content) waise hi agar aap apne visitor ko ya new visitor hai uske lane ke aap content doge wo badhiya hona chaiye jiske dawara wo apke article ko like kare aur wo bhi apne blog me apka link attach kare.
  2. Aur social media pe jitna jayda share karoge aapke link waha pe create jisse apki website ya blog ki ranking badhegi
  3.  Aapko us Guest Posting Karna hai jisse apke blog ke traffic mile aur waha se aapko backlink mile.
  4. Aap acchi ingographic banaye jisse aapko backlink milne ki chance rahte hai.
  5. Aur sabse dhansu chij hai wo hai aap apne industry ke jitney visitors hai aap unse email ke dwara mil sakte ho. aur aap chahe to apne blog ke review se related puchana chahe to puch sakte hai. aur aap chahe to aap apna contend unko email pe share kar sakte hai aur wo waha se use dekh sakte hai. aur ek aur reason hai jisse aapke blog ko backlink mil sakti hai. aap apne blog me jise email kar rahe ho uska jikr kar do to umid hai wo bhi link karenge.

Off Page SEO kaise kare

Aap bhi apne blog ke traffic nahi aa rhi to tension me ho to hmare kuch step hai jise aap follow karo agar aap apne blog ka traffic badhana chahte ho to. To bina deri kiye chlo start karte hai  Off Page SEO techniques kaise kare.

1 Social Networking Sites

Aaj ke time sabse jayada use hum social Networking ka karte hai ise social media bhi kahte hai. aapko sabse pahle Instagram, Facebook, Twitter, Pinterest, LinkedIn, Quora etc in sabpe apne blog ka profile banana hoga jisse apke bran ka advertise ho sake aur apko yha se ek backlink mil sake.

2 Blogging

Aaj jise dekho blogging karna chahta hai aur ye online work karna hota hai jisme aapko kahai jana nahi aap ghar se article likh sakte ho aur aap apne blog me dalkar logo tak dikha sakte ho. apne visitors bana sakte ho. aur isme ek help milti hai agar apke website ke liye blog likhne se aapke visitors ko apne taraf khinha ja sakta hai.  blog me aapko daily article post karna hai jisse aapke visitors badhe aur log jayda like kyu ki aaj ke time me log lattest chije dhundte hai.

3 Blog Marketing Karna

 Aapko apne website ya blog ka comment post karna chaiye jo ki aapke jaise blog ho niche jo apke blog ko allow karta ho aur waha aap link kar sake .kyu ki Google in link ko bhi crawl karke aapke blog ka traffic ko point karta hai.

4 Forum Posting

Aaj ke samay me forum ka use hum apne blog ya website ke ranking ke liye karte hai. aur isme aapko sabse best forum search karna hoga jiski DA achhi ho aur apne niche se related forum site ho aur iske dwara aap communities se usme jud sakte hai.

Isme ek chij achhi hoti hai jise thread kahte hai thread me apko reply karna hota hai aur jo visitor hote hai means isme users hote hai unka question ke answer de sakte ho aur jab need ho tab aap advice bhi de sakte ho. aap aise karenge to aapki reputation banegi aur log aapke niche me aapko accha name denge.

Aur aap us site ko join kare Jiski Do Follow Forums ho jisse aapko dofollow backlink mil sake aur website ya blog ki rank mil sake.

5 Search Engine Submission

Agar aap bhi apna blog ki traffic chahte ho jisse aapka blog Google me dikhe to apko search engine submission karna chaiye isse aapke blog ki traffic milta hai aur apki blog search engine me dikhne lagta hai.  aur search engine  apke website ya blog ke jayda time to ni leta dhundhne me aur agar jald hi lana hai to aap bahut sare Popular search engine submission site hai jaise Google, Bing, Yahoo etc aapko yha apna blog ya website ko submit karna hai.

6 Directory Submission

Aaj sunne me ata hai ki log kahte hai ab directory submission se ranking ni milti hai. but ek bat aapko bata de ki isse aapko achhi rank milti hai jisse aap apne blog ka traffic badha sakte ho. aur yaha se aapko backlink milegi to aapka blog automatic rank karne lagegi.

Aap jab kisi directory site pe apna blog submit karte samay aap uska category and efficiently  achhe se dekh kar submit kare kyu ki agar aapne category apne apne blog se related nahi lia hai to aapka directories karna bekar hai.

Aap submit karne ke liye general directories ka use kar sakte ho but apko maximum effect  chaiye to aap niche directories me hi submit kare isme thda time to lagta hai but isse aapka result achha milta hai. apke blog ka achhi rank bhi milti hai bs thda wait karna hoga.

7 Social Bookmarking

Social Bookmarking ek aise tips hai jiske help se aap apne website ko promote karne ke liye karta hai  iske liye aap lattes blog posts kanra hoga aur sath me aapko jo content use karna hai wo unique hona chaiye aur Google ka algortithm jab aye to apke website read karke rank de sake. aur latest blog post ko aapko High DA bookmarking sites pe sumbit karna hoga for example: StumbUpos, Pinterest, Delicious, Reddit, quora, Tumbler etc.  

Search engine is sab sites ko jayda like karte hai kyu ki inka content fresh (unique) update hotaerahta hai jise google bhi like karta hai.

Isme aapko submit karte time aapko tag ka use achhe se karna hoga kyu ki tag ki wajah se jo audience hai wo aapke blog ya website tak pahuch apte hai.

8 link baiting

Ye alag hi tarika hai jisse aap apne site ke promote karne ke liye use karte hai. apne unique post create kia hai jise log like kar rahe hai. jisse aapki popularity badhegi aur apke content ke sath link karna change.

9 Photo Sharing

Maan lo agra apne apne blog me koi article me image use kiye hai to aap photo sharing site pe jaise Flicke, Twitter, Picasa etc use kar apne blog ki traffic badha sakte hai.

10 Videos Marketing (Sharing)

Jaise aapne photo sharing kia hai waise hi isme bhi aapko video submit karna hai. aapne ek video create kia hai aur aap use Youtube, Vimeo etc me submit kare ya phir aur bhi bahut sare site hai jaha aap submit karke aapko waha se link mil sakta hai aur log aapke video ke dwara apne link pe pahuch sakte hai aur aapko apne blog ranking mill sakti hai

11 Bussiness Reviews karna

Isme aap simple samjhe ki agar aap kisi another website ya blog ka review likh diye aur badle me aap unse apne blog ke review ke liye bol sakte ho. jaise teat for tat hume unko review ekhnge aur wo hume review dnge apke blog ke liye.

12 Local Listing

Agar apka blog technology per  hai to aapko technology se related hi website dhundna pdeaga aur waha pe aap apna site ko submite kar sakte ho.  apke site ke liye local directories kare isse apko bahut jayada fayda hoga.

Asan bhasa me kahu to aapko Global competition ka  tension nahi hoga kyu ki apne already local directories pe apna site sumbit kiya aur isek dwara Google samjh jata  haia aur ise ranking bhi de deta hai aur jisse apke site search engine me show hone lagta hai. aur jab bhi koi users technology pe search karte hai to Google unsab site ka backlink check karne ke bad hi search engine me ranking deta hai.

For exa: Google Maps, Yahoo Local, yellow page, Google Local etc is sab website pe aap apne site ko submit kar sakte ho aur yha se aap backlink bana sakte ho isse apko bahut jayada prfit hoga kyu ki aaj ke time sabse jayada log Google ka karte hai.

13 Article Submission

Aaj ke time me sabse bada article ka sabse bada site hai Ezine isme aap apna article submit kar sakte ho isme approve karane ke apka content fresh hona chaiye aur Go article , Apsense etc bahut sare site ai jispe aap apne article submit karke aap apne blog ka traffie badha sakte ho. apke blog ka traffic dhire dhire aana start ho jata hai aur new visitor se hi backlink milne ki chances hoti hai.

14 Social Shopping Network

Aap e commerce website apke pas hai to apke pas ek strategy jisse apke advertisement free me ho jayegi. Apne products ka link in site me Google Product Search, yahoo shopping etc me submit kar sakte ho jisse ek bar aapko bahut sare log dekh sakte hai apke website aur apke produce, Brand kya hai wo sab chije dikh jayegi.

15 Q & A ( Question ke Answer dena)

Isme aapko sabse important bat ye hai ki agar aap apne blog ki traffic lana chahte ho to aap Yahoo, Quora, Reddit is sabme sabse jayada use hota hai wo hai Quora pe aap apne answer ke sath aap apna blog ke link de sakte ho jisse apke blog ki identity banti hai aur jo blog ke reader hote hai wo asani se aapke blog pea ne ke pahuch sakte hai jisse chances hoti hai.

 

Aaj ka lekh tha off page seo kya hai kaise kare aur isse achhe taraha se karne ke tarika kya hai in sab rule ke follow karke aap apne site ko rank kara sakte ho. agar apke pas bhi koi site hai to aapko off page kaise karte hai iske bare me pata hona bahut jaruri hai. agar aapko isse related kuch samjh na aaya ho to aap puch sakte hai. and please share this article jisse kisi ki help ho sake. 

1 thought on “What Is Off Page SEO क्या है और कैसे करे पूरी जानकारी हिंदी में”

  1. Pingback: SEO Kaise Kare Jisse Blog Ya Website Pe Jyada Traffic Mil Sake - Dil Afroz

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top