What is Copyright Material kya hai aur isse kaise bachhe Puri Jankari

Copyright material ka use karne se kaya hota hai. copyright kya hai. agar aap kisi another website se copyright karte ho to is apko kya kya loss ho sakta hai.  aaj ke article me hum sab janegi ki copyright se kaise bache. Copyright se related aapke andar bahut sare question honge to aap chinta na kare kyu ki un sanko answer hum niche aapko asani se mil jayenge. Aur is article ko achhe se read kare kyu ki aaj ke time agar aap ek content writer ho to aapko ye janna jaruri hoga. Ki ye Copyright material kya hai to aaj ke article start karte hai au isme baat karenge ki what is Copyrighted Material क्या होता है aur iski puri jankari.

To is lekh ke last tak bane rahe kyu ki is article me aapko copyright material kya hota hai uske bare me btaunga jo aapko janana bahut jaruri hai agar aap bhi blogging karte hai to kyu ki ek choti si mistake apke blog par adsense bhi nahi lagne degi.

Copyright material kya hai

What is Copyright Material Kya Hai Puri Jankari

Copyright material sabse asan language me samajh lijiye koi bhi item hai wo copyright ho sakte hai. item matlab jo website pe milti hai image, video, audio, content (Text) etc ho sakta hai. iske alawa agar aapke pas koi blog hai aur koi apka blog ka content copy karke use kar raha hai to wo Copyright material kahlata hai. simple si baat samjh lijiye aap ko practical karke dikha deta hun. Agar aap youtube ki koi bhi videos download karke use apne koi channel bna lia aur use upload karte ho to aapko channel pe copyright ane lagta hai. kyu ki youtube ka algorithm aisa bnaya gya hai jo sab videos ko achhe se read karta hai uske bad batata hai ye video new aur ye copyright. Thik waise hi agar aapke blog ke koi content kisi ne copy karke apne blog me dalega. search engine (Google) ko jo algorithm hai us content ko read karega aur phir search engine bateyega ye content kaha se copy kia hua hai ya phir new content hai.

How to Copyright Material use karne se kaya nuksamn (loss) hota hai

Pahli baar mane bhi aisa hi socha tha apne se content bnane se achha kisi aur ke blog se sare content copy karke dal du. Lekin phir pta chal agar aap kisi another website ya blog se content copy karke dalte ho to aapko kabhi bhi ni karni chaiye. Kyu ki agar aap aise karoge to aapki blog ki DA ni badhegi jiske wajah se aapko ranking bhi down ho jayegi aur Google bolega ki ye blog to copy right karta hai. aur blog pe DMCA bhi aane ki chances rahti hai.

Sabse asan si language me kahu to agar aap blog me kisi aur ka content use karte ho sabse pahle Google search engine me nahi dekhayega kyu ki apka content copy kia hua hai. apke blog pe koi user aa gye to agar unko bhi pta chalega ki ye aapka content nahi kisi aur ka hai. to next time apke blog pe wo bhi user nahi ayenge.

Aaj ke time me agar aap apne blog se paise earn karna chahte ho to. Aap simply apko kisi aur ka content nahi balki khud ka content jo ki fress and latest ho aur log use padhna chahe aur apke blog ko like bhi kare. Jisse aapke blog ki achhi pahchan banegi.  Apne agar copy kia hua content apne blog me dala hai to aapko Google adsense  nahi milega aur aap paise bhi nhi kama sakte. Kyu ki Adsense policy me bataya gya hai ki agar koi bhi content copyright hoga to aapko adsense approve ni hoga.

Sabse badi baat apke blog ka conten kisi ne copy karke dal lia hai. agar aapne DMCA kia hai to aap jinhone apke content copy kia hai use report kar sakte hai. isse loss ye hoga apke Blog ko Google ban ya apke us article ko delete kar dega. Jiske wajah se aapko DA ya ranking sab down ho jayegi. Agar blog ka search hi hata dia jaye to blog ka DA nahi badh sakti kyu ye depend karta hai users pe jo kitna like kar rahe hai.

Copyright Material ko copy hone se kaise bachaye

Apne apne blog me new content dala. Aap chahte ho ki aapka content koi na kare to DMCA register karke rakh sakte hai. isse fayda ye hai ki apne kab share ki thi iska proof apke pas rhega.

Aap chahte ho jaise youtube pe video hai use agar aap upload karte ho to copyright video ke dwara bataya jata hai. apne blog me copyright de rhe hai to aapko DMCA ka hep lena hoga.

Ab baat ati hai blogging karne ki to agar aap kisi another blog se content copy karke aap apne blog me dal rahe ho to aap kuch time dekhte ho ki result ni mil raha to bahut sare bande aise hote hai jo blog chod dete hai.

Copyright Material se kaise bache

Copyright Material se kaise bache ye contnet ke liye best tarika hai.Ab apke andar ye sawal aa rha hoga ki ki agar copy nahi karege to content likhe kaise to simple si baat bata du agar aapko apna blog famous karna jispe log aye aur like aur apki pahchan bane. To aapko search karna hoga jis bhi topic pe aap article likhna chahte ho aur uske bad aapko content banana hoga. Agar aapke content me dum hoga fress hoga to user ko bhi achha lagega aur Google aapke blog ki ranking automatic dene lagenge. Aur sath hi apke blog ki DA bhi badhne lagegi.

Aap copyright se bachana chahte ho to aapko simple kahi se bhi kuch chahe wo audio, video, content, image. Etc kuch bhi copy nahi karna hai. aapka apna khud ka content banana hoga.

Royalty Free kaya hota hai

Agar aap apne blog me Image use karna chahte ho to aapko Royalty Free use karna hoga. Yha aapko free me image and youtube video me sound ki ap asani se download kar sakte ho.

Royalty Free ka owner ne permission dia hai ap koi bhi image download kar sakte ho aur usey use kar sakte ho. jisse apke blog me koi dikkat nahi hogi.

Ab aapko search engine me bahut sare Royalty Free website mil jayegi aur aap free me download karke usey use kar sakte ho. aapko google me free image download karna chahte ho. aur isme aap copyright free image download kar aap use kar sakte hai.

Post copyright hai ya nahi hai kaise pata kare

Apne khud se koi content likha hai jo bilkul fresh and uniwue hai. to mujhe nahi lagta aapka wo content copyright hoga. Agar aapne kisi aur se content likhwaya hai. to aapko check karna bahut jaruri hai kyu ki kaya pta jisse aapne article likhwaya hai wo kahai se copy karke de dia ho. aapke pas agar guest post ke liye bhi ata hai aapko check karna chaiye agr copyright hoga to aapke blog ko loss hoga.

Agar aap kisi article ko check karna chahte ho ki ye kahi se copy kia hua to nahi hai na. agar aapko check karna hai to aap uske paragraph ko direct google me search kare.  Aur dekhe jo apne search kia hai koi site aa rahi hai kya.

Aapko aise samjh na aya ho to online check karne ke bahut sare Tools hai jiski help se aap koi bhi content ko asani se check karke pata laga sakte ho ye content kaha aur kiska hai.

Plagiarism chker Tool iska use karke aap kis content ko dal kar check karoge to aapko iska result milega agar conten kahi se copy kia hoga to aapko uske bad us site ko bhi dikhyga. Jisse aap asani se pata laga loge ki ye content copy kia hua hai ya nahi.

Sabse badi baat agar aap soch rahe hai content pura unique nahi matlab keyword copy bata raha hai to aapko bta de isse koi dikka nahi hai . bas ek baat ka dhayan rkhna hai aapka content job hi bas kahi se copy kia hua nahi hona chaiye.  To aap sabse best matlab fress content likhe jisse aapke blog ko google aur log like kare aur aapka blog ki achhi pahchan ban sake.  aur apka content achha hoga to aapko Google DA and Ranking dega.

 

Conclusion:

I hope aapko samjh aya hoga ki copyright material kya hai aur copyright material se kaise bache aur what is copyrighted material क्या होता है . Aur aap ek content writer hai to aapko copyright material ke bare me pta hona bahut jaruri hai. agar is artile me kuch samajh na aya ho ya aapke pas koi question hai to aap comment karke pucha sakte ho aapko reply jarur dia jayega. To dosto phir milte next article me.

Aapke andar bhi ye sawal hoga ki mai bhi blogging kar sakta ho to aap mehnat karke ise kar sakte ho aur mujhe ummid hai aapke What is Copyright material kya hai or what is Copyrighted Material. Puri tarah se samjh aa gya hoga agar aapko is lekh se me kuch edit hona chahiye jisme maine kuch galti ki ho to aap comment karke aap bata sakte ho. To dosto phir milte next article me tab ke liye chota sa break jab milenge dhamakedar jankari lekar.

News Reporter

1 thought on “What is Copyright Material kya hai aur isse kaise bachhe Puri Jankari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *