Hot to make High Quality Youtube Video Banane ke Tarike

Hello dosto to aaj hum janegi ne agar aapke pas ek youtube channel hai to agar aap apne channel regular videos dalte hai aur ap chahte ho ki apke channel pe youtube videos kaise quality bnaye. To is article me hum sab janegi ki kaise high quality youtube videos bnane ke bare me sab bistar se janege.

High Quality Video itna Kyu Jaruri Hai?

Aaj ke time agar bat kare quality ki to ye sabse badi matra me use hone wala chij hai kyu ki agar aap kisi bhi youtube channel pe jate aur agar aapko koi videos ya audio samjh me na aye aur dikhai bhi achha na de to aap tutrat hi aap use channel ke video ko ni dekhoge.
Aap khud bloge ki jab video and audio ki quality achhi ni hogi to dekhne me maja kaise ayega. Mje nahi lagta ise batane ki jrurat hai. kyu ki aap khud iske bare me achhe se jante hai.

Agar koi video ka audio ka quality bahut hi achhi hogi to kabhi kabhi aisa hota hai koi dekhne wala viewer like kar deta hai aur sath me subscribe bhi kar deta hai.

Aur bahut sare log ye sochte hai ki humne channel bna lia aur mobie se videos bna kar dalenge aur uske bad paise earn karna start ho jayega. To ap samjh lijiye itni asani se paise ane wale ni. Ab to mobile ki bhi audio and camera achhi aa rhi hai to tension ki koi baat nahi bas aapko edit karna hoga ki jo bhi log apke channel pe aye to aapke videos ko like and subscribe kar paye.

Agar aapke pas content achha hai aur logo ko achha lage. Aur aap ye soch rahe ho ki bas apne video dali aur paise earning start ho gya to aisa bhi ni ho sakta agar log jayadatar apke video ko like karenge to aisa ho sakta hai. Aapko ye bata de ki quantity se badi chij hoti hai wo hai quality.

Ab baat karte hai agar aap youtube se paise kamana chahte ho to aapke content aur videos ka quality achhi rakhni hogi aur sath me audio bhi jo log achhe se smajh sake. to aaj ke article start karte hai ki kaise aap quality video bana sakte ho.

High-Quality-Youtube-Video-Banane-ke-Tips

#1 Video Camera ka use kar sakte ho

Aaj ke time me sabke pas smartphone hai aur aap bahut hi easy ke sath aap apna video bana sakte ho. ab to bahut hi achhi camera and audio bhi achhi aa rhi hai. aap chahe to ap apne mobile ka use kar sakte ho youtube video bnane ke liye. Agar aapke pas koi Hnadycamera hai to apke video ko dekhne me maja hi aa jaye. To agar aap chahte ho ki apke video sabse achhe ho to aap handycam ka use kar sakte ho. ya phir agar ye ni to aap apne mobile ke camera se hi video bana sakte ho .

#2 Mic ye Audio Recording ke liye :

Aap blogging karte ho to aapko achhi sound recording ki jarurat hogi. kyu ke agar aap chahte ho ki apka content log like kare to aap simply achha audio rakhna. Agar aap chahe to aap market se online bhi se le sakte ho. agar aapko best audio chahiye to aap microphone ka use kar sakte ho jo 800 hundred ke andar aa jayega.

Agar aap chahte ho to Blue Microphones Yeti USB Microphone le sakte ho jo thoda costly hai but best hai apke videos ke audio banana ke liye. Ye $98 matlab  Amazone.in par ₹12,499 iska rate aur ab 20,634 me mil jayega.

Aur baat kare sabse jayada use hone wala Mic number ata hai Boya By M1 ye sabse jyada use hone wala mic youtuber bhi iska use karte hai.

#3 Light

Agar hum bat kare light ki to aap bhi jante ho ki light ke buna hum ni dekh sakte. Aur youtube pe agar aapka video hai without light wali aur light wali to difference aap khud dekh sakte ho. ki kis video me jyada chamak hai aur logo ko kaun sa video sabse achha lagega. To mera suggest rahega ki aap CFL use kare apne videos banane jo ki kahi bhi asani se mil jayega. Apke nearest shop pe bhi aap Light le sakte ho aur bhi bahut sare light aa rhe hai aaj kal agar aur bhi apki video me chamak chaiye to aap color wale light le sakte ho. jo apke video ko bhut khubsurat bna sakta hai.

#4 Background Color badhiya rakhe

Mujhe ni lagta aapko ye pata hoga kyu ki aaj kal log apna picture bhi abhi background hoti hai wahi leta hai. to mera kahne ka matlab ye hai agar aapke video ka background achha hai to aapke video bhi dekhne me ache lagenge. Aur sabse jayada use hone background color hai wo hai Blue, White. Baat in dono me se kare to blue sabse best hai.jo ki apke video ka quality ki value ko bahut jayada badhata hai. apke new viewer lane me helpful rahta hai. isme apko ye dhayan rkhna hai apke content bhi achhe hone chaiye sirf background hi ni .

#5 Video Editor

Aapko agar thoda bhi knowledge hai ki kaise video edit karte hai to itna kafi hai uske bad aap khud dhere dhere sikh jaoge. Aur agar aap apna video edit karke dalte ho to apko video dekhne me bhi achha lagega. Video me bahut sare option hote jaise audio merge karna ya scene cut karna hai to apko software ka use karna hoi padega. Apne bahut sare alag alag video shot kiye hai timeline me merge karne me use kar sakte ho. agar aap chahte ho ki edit karta to ye possible hai to editing software se hi. Bahut sare editor software example: Sony Vegas Pro, Windows Movie Maker, Final Cut Pro, Affter Effects or Camtasia filmora, etc agar aapko editing me jayada pata nahi hai to ya basic hai to ap use kar sakte ho Windows Movie Maker ye best rahega aapke liye. Aap chahte ho screen recorder and edit bhi ho jaye to Camtasia kare isme dono asani se ho jata hai.

#6 Audio ko Clear kaise kare video me awaj saf sunai de

Agar aapne apna video banaya aur usme apka audio me kuch Background Noise aa jate. Maan lo Apne ek video hai jiska audio bilkul santi me bnaya gaya hai. phir bhi aisi problem kabi kabi aa jati hai usme noise aa jate hai. to tension na le ise bhi aap asani se hata sakte hai jise Audacity software ke help se ap asani se use hata sakte hai. jo ki bilkul free software hai.

#7 Free Audio

Agar aap chahte ho to apne video me thde sound karke video me laga sakte ho. aur dhayn me rakhe app pure music ni laga sakte agar laga rahe ho to copyright claim bhi lag sakta hai. aap is link pe ya google pe jakr search kar sakte ho youtube music se free me music download kar skte hai aura aap apne video me asani se use kar sakte hai. aaj ke time youtube me sab mil ja rha hai ise ap video ke king bhi bol sakte ho. aur aap jaisi audio chahe aap apko asani se mil jayenge ab ap apne according ise apne video me add kar sakte ho. youtube ke music Library lag bhag sare audio mil jate hai jo ki bilkul free hai aur isme se kuch ad supported hai use bilkul bhi use ni karna hai. aur ek sabse badi bat ye audio apke monetize bhi allow karte hai. ab isme bad aap apka video ready ho gya hai aap video public kar sakte hai.

 

I hope aapko samjha aaya hoga ki aa kaise youtube channel ka quality video kaise bnaye aur isse related aapko kuch puchana ya kuch samjha na aya ho to aap comment kar ke puch sakte ho.

News Reporter

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *